Saturday, March 7, 2009

dedar-e-ishq



idhar hum say mehfil main nazrain larana

udhar gair ko dekh kar muskarana

yeh behngi nazar ka ho sakhsana

kahin pey nigahain kahain pay nishana........

kiun bhujatey ho diya ulfat ka phokan mar kay

shahta hai dil rowan main kokan mar kay!

husn ki toop ka gola mara tera khakh na rehay

tujh pey ghir jaey kutbi tara tera kahkh na rahey

banking konsil walay teri har shah karki kar dain

char jaey tujh pay karza bhara tera kakh na rahey

sardi andar nehar kay banay sarey raat kholotey

ton na aai laya lara tera kahk na raehy

dil ki chori kay ilzam main police ka chapa par jaey

phariya jaey tabar sara tera kakh na rahay

sari gazal suna kar bhi sarra dil ka nahi mukiya

sada hai bas ikko nara tera kakh na rahey....

koi marta hai mar jaey' hum apna nishana kiun chorain

dil walay dil bachain apna' hum teer chalana kiun chorain

majboor na ho to ishq hi kia'magroor na ho to husn hi kia

tum humko manana kiun choro' hum tumko satana kiun chorain

jo hum ko nasihat kartay wo apna zamana dekh chukay

hum par bhi jawani aai hai' hum apna zamana kiun chorain

dunia to humarey samnay hai' zanat ka pata kia ho keh na ho

janat main chupi dolat kayliey dunia ka khizana kiun chorain.....

TUM YAAD BAHOOT AATEY HO!

tum yaad bahoot aatey ho

jab bhi main tanha hota hoon

jab koi khubsorat gana sunta hoon

kisi kay barey main jab bhi main sochoon

to ik dam say

tum meyray dil-o-dimag

par chah jatey ho

jab kabhi bhi koi khush rang phool dekhoon

jab kabhi bhi koi sorili awaz suno

tab yaad bahoot tum aatey ho

koi hasien chehra dekhoon

jab koi bagair kisi baat par

jagra karta hai rooth jata hai

koi jab pyar say bolta hai

aey meyray hamsafar

aey meyray dost

tab yaad bahoot tum aatey ho

TUM YAAD BAHOOT AATEY HO!

younhi bey sabab na phira karo

kisi shaam ghar main raha karo

koi hath bhi na milaey ga jo galey miloo gay tapak say

yeh naey mizaj ka shehar hai zara faslay say mila karo!

No comments:

Post a Comment