Friday, March 6, 2009

Just 4 u


Na chupau koi bat dil mai ho agar.
rakhana thura sa aap hum par ,
hum nibhayn gy dosti ka rishta iskadar,
bhulane se bhi na bhula pao gy.
taron se kaho tim timana chor dey,
chand se kaho ke jagh magana chor dey,
agar aap aa nahi sakty tu koi baat nahi,
apni yadon se kaho ke wo satana chor dey,
Roney se ghum-e-dil ka ghuzara nahi hota,
har shakas dil ka sahara nahi hota,
us roz lagta hay ke bekaar jiye hum,
jiss roz ziker tumhari nahi hoti......
dil ki gehraiyon mai naam ha tera..
tey bin nahi guzara mera
rooz tery gar ka lagoon phera...
ek din ho gya raat say saveera
terii galli mai kia baseraa...
meray uper ger gya tery gar ka baneeraa....
phir jub subha uth ker kaproon ko jhara ...
teray abhu nay bahir aa kar juta utaraa..
our maar maar ker sara kaproon ko phara..
phir doctor bhulvay soo dosoo taaanky lagvay..
magar sakoon na any ki wajh say phir thaper lagay...
larkii k bahioon sa kamaar per mookay pervay..
larkii k bahi thay baray chaalak ..
unhaoon ny kamray mai ker dia mhujay lock ..
lock ker k kamray ko maaray tally ..
meary uper ge gay sarry bally..
roo roo k guzaar gai sarii raat ....
agly din larkii ki aa gai barat ..
abb her tarf say thee merii maaat
barat k sath mai nay khana khaya..
khana kha k mai gar wapiss aya
yeh ha merii pyar ki kahani
iasay he lut gai merii javanii....
Aqib Usne kaha kon ho Tum?
Mai ne kaha Hasrat Tumari
Usne kaha Taaktay ho kya?
Mai ne kaha Surat Tumhari
Us ne kaha kartey ho kya?
Mai ne kaha Pooja Tumhari
Usne kaha Kaafir ho kya?
Mai ne kaha aisa hi sahi
Usne kaha chahtey ho kya?
Mai ne kaha Mohabbat Tumhari
Usne kaha Pachtaoge,
Mai ne kaha Kismat Hamari
Usne Kaha Married hoon mai.
Mai ne kaha
Sorry BAJI.............
ISTAQBAL.....!!!
jab sey yeh peygam mila hai
janan! tum aney wali ho
mousam nay sarey ghar ki tartieb badal kar rakh dali hai
choukhat pay ik chand bhi aakar beth gia hai
kai sitarey laounch main kab say parey hain
kehtay hain
is rah say tum guzro gaey
nanay monnay kai gulaboon ka kehna hai
jetnay din pass raho gaey
ghar kay har konay main aakar mehka karain gay
pholoon nay mil kar sab konain banh rakhain hain
jugnoo kab say chaat pay ghar kay
har goshay main chamak rahay hain
soraj or barish bhi kal say saiban par
tikay hoey hain
dhemay dhemay chamak rahaey hain
shaam to kab say lai hoi hai jis kamray main
tom theyro gay
ton aoo gay to yeh shaam hazaroon mousam
sundar sundar saji hoi ankhoon ko day kar
kho jai gi
phir na kabhi wapas aai gi
is say pehlay keh yeh shaam bhi
sarey mousam lay kar mujh ko
khali kar kay kho jai
to AAJAOO NA!
abhi to ishq main aeysa haal bhi hona hai
keh ashk rokna tum say mouhal hona hai
har ik kay lab pay hain meri wafa kay afsanay
teyray sitam ko abhi lazawal hona hai
baja key khar hain lakin bahar ki rot main
yeh tey hai ab kay hamain bhi nihal hona hai
tumhain khabar hi nahi tum to lot jao gay
tumharey hijar main bhi saal hona hai
hamari roh pay jab bhi azab utrain gay
tumhari soch ko is dil ki dhal hona hai
kabhi to roaey ga wo bhi kisi ki bahoon main
kabhi to us ki hasi ko zawal hona hai
milain gi hum ko bhi apnay naseeb ki khushian
bas intezar haikab yeh kamal hona hai
har ik shakhs chalay ga hamari rahoon par
muhabbatoon main wo misal hona hai
zamana jis kay kham-o-pech main uljh jaey
hamari zaat ko aeysa sawal hona hai
wasi yaqen hai mujh ko wo lout aeyga
usay abhi apnaey kiey ka malal hona hai!

No comments:

Post a Comment