Monday, March 30, 2009

Uss dor per na jaane kitne rang bharte gaye



















Uss dor per na jaane kitne rang bharte gaye
hum ladte bhi rahe magar saath chalte gaye

kabhi har shaam tanha beetgayi
kabhi din raat mehfilen karte gaye

uss dor per
rang geeli rait ke, neele aakash ke rang

rang kuch karvi baaton ke, meethi yaad ke rang
har gum aur khushi ko apni bayaan karte gaye

uss dor
rang subah ki mahek ke, shaam-e-madhoshiyon ke rang

rang uss tadap ke, un shokhiyon ke rang
her rang ko chaha humne, her rang ko jeete gaye

uss dor
uss dor mein koi ganth lagne na paye kabhi

vo dor dosti ki sadha unhi judi rahe
bas yehi duya subah shaam karte gaye

uss dor per na jaane kitne rang bharte gaye!!

No comments:

Post a Comment