Monday, March 2, 2009

JustPoetry



Mujh Ko Apny Rafo Gardha Giryban Ki Qassam


Main Nae Pooja Hai Saja Kar Dily Veran Main Tujhy.






I SEE DREAMS


Sometimes,I see


Peace and harmony


Justice and integrity


Sometimes, I see


Love and prosperity


Shaping the destiny


Sometimes, I see


Tolerance and Respect


Among the whole community


Sometimes I see


Goodwill and Equality


Faith and unity


Sometimes, I see


Affluence of commodity


End of poverty


Sometimes, I see…


Sometimes, I see…


But dreams only!





GO TERI YAAD MERE SAATH SAATH RAHTI HAI



MAGAR KAHIN NA KAHIN IK KAMI SI RAHTI HAI



MAIN SOCHTI HOON TUJHAI SOCHTI RAHOON LEKIN



MERI YE SOCH ISI SOCH HI MAIN RAHTI HAI.







Wo jazbon ki tijarat thi ye dil kuch aur smjha tha



usay hansnay ki adat thi ye dil kuch aur smjha tha



mujhay uss ne kaha aao nai duniya basaty hain



usay soojhi sharart thi ye dil kuch aur smjha tha



hamesha uss ki ankhon main dhanak se rang hoty thyye



uss ki aam halat thi ye dil kuch aur smjha tha.



wo mery pas betha dair tak ghazlain meri sunta tha



usy khud se mohabat thi ye dil kuch aur smjha tha.







Meri Har Dharkan Mai Tum,Meri Har Saans Mai Tum,



Jaana Thumen Kaisy Batayn,Meri Jevan Ki Aass Ho tum, Jub Hota Ho Pass Tw Mil Jata Hai Sukoon,



Door Jub Jatay Ho Tw Kr Jatay Ho Odass Tum,



Meri Zindagi Hai Ik Sabaq Or Iski Kitab Ho Tum,



Dakho Tum Say Kitna Pyar Hai Mujhay,



Meri Rag Rag Mai Behty Khoon Ki Raftar Ho Tum,



Mai Tha Andheron Mai Phansa Howa,



Roshan Roshan kr Dia Mera Aftab Ho Tum,





Hum kasay pagel hotay thay



Ek phool ko chonay ki khatir



Kantoon say zakhmi hotay thay



Jo phool jholi main aa girta



Ussay choonay say dar jatay thay



Hum kasay pagel hotay thay



K dhondaly aaeinoon main apna



Hum aks sa dhoonda kertay thay



Aor kirchayan chatkhay aaeinoon ki



Muthi main daba ker rakhtay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Jab sadak pay chalna hota tha



Hum kashti lay ker chaltay thay



Aor beech bhanwar janay k liyey



Hum padel nikla kertay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Jab barish barsa karti thi



Hum chatri main chup jatay thay



Aor jalti dhoop main nangay sir



Hum chatt par uchla kertay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Jab pass woh bohat hota tha



Hum uss ko dekh na saktay thay



Jab woh door chala jata tha



Hum aahat uss ki suntay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Jab sari dunya soti thi



Hum chand say khela kertay thay



Jab sari dunya jag utthti thi



Hum thak ker so jatay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Hum kasay pagel hotay thay



Hum aaj b wasay pagel hain



Hum aaj b wasay pagel hain.





AAJAYE KISI DIN TUU AISA BAHI NAHI LAGTA



LAIKIN WOH TERA WADA JHOOTA BHI NAHI LAGTA



MILTA HAI SUKOON DIL KO US YAAR K KOOCHAY MEIN



HAR ROZ MAGAR JANA ACCHA BHI NAHI LAGTA



DAIKHA HAI TUJHAY JAB SE BE CHAIN BOHAT HAI DIL



KEHNAY HO KOI TUJH SE RISHTA BHI NAHI LAGTA



BARAYE MEIN QATEEL US K SOCHEIN BHI TO KIA SOCHEIN



WOH GHAIR NAHI LAIKIN APNA BHI NAHI LAGTA



AAJAYE KSIS DIN TU AISIA BHI NAHI LAGTA



LAIKIN WOH TERA WADA JHOOTA BHI NAHI LAGTA.





Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai



Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai



Dhoondta rehta hoon..mai tujh ko chaman zaroan mai



Teri yaadoan k mehktay..hoey...Gulzaaroa'n mai



Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai



Koi bhi phool wahan tujh sa kahaa hota hai



Yaad aati hai tou muskaan si aajati hai



Goyaa duniyaa teri aankhoan mai simaat aati hai



Teri Rakhshinda jabeen or teri masoom haansiiii



Meri Neendoan mai faqat tera basar hotaa hai



Aey Meri jaan magar aisa kahan hota hai



Apna kehnay se koi apna kahaa'n hota hai



Aey meri jaan magar aisa kahan hota hai!..........

No comments:

Post a Comment