Sunday, March 29, 2009

Tum mil gaye ho mujhko aur kya chahaye



















tum mil gaye ho mujhko aur chahaye.

mujhe kya!maangu main kya khuda se,

tumhe khuda na mujhe day diya..

ragon mein daurta hai,lahu sa pyaar tera!

dekhoon jo aaina to,aaye nazar chehra tera!

rehti hai shama raushan fanoos mein jaise!

basi hai teri chahat mere rooh mein waise!

mein tera ishq hoon,sirf tujhe jaanti hoon!

tere siwa sabhi ko anjaan maanti hoon!

tum mil gaye ho mujhko aur chahaye mujhe kya!

lete hain dil mein karvate armaan is tarah!

uthti ho jaise lehren,samundar mein jis tarah!

har baandh har sahil ko jaise tod denge woh!

majhdaar mein har kashti,dubo denge jaise woh!

lagta hai ab to khauf dil ke armaano se bhi hume!

sahil pe laake mujhko dubo de na yeh kahin!

roshan karen jo ghar,woh jalate hain aashiyaan!

aise chirag humne bhi dekhe hain meherbaan!

yeh lau jo tere pyaar ki,mere dil mein hain raushan!

mita degi mujhe ek din,yeh main bhi jaanti hoon!

tum mil gaye ho mujhko aur chahaye kya!

maangu main kya khuda se,tumhe mangne ka bad!

har agaaz ka anjaam bhi hota hai mukammil!

har rahi ko aakhir mein,mil jaati hain manzil!

tum saath jo hoge mere,badhane ko hausla!

chodoge na tum akele mujhe rahe safar mein!

yeh haqueekat to tumse pehle,mein bhi jaanti hoon!

tum mil gaye ho mujhko aur cahahye kya!

maangu mein kya khuda se,tumhe khuda nay dadiya

No comments:

Post a Comment